Hairat Farrukhabadi

waqt-e-shab gum hua saya to mujhe yaad aaya

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
vaqt-e-shab gum huā saaya to mujhe yaad aayā
ho gayā apnā parāyā to mujhe yaad aayā
merī barbādī meñ thā haath koī poshīda
us ne jab haath milāyā to mujhe yaad aayā
talḳhī-e-daurāñ nahīñ badlegī ye talḳhī-e-mai
jaam jab sāmne aayā to mujhe yaad aayā
ret hī ret nazar aatī thī tā-hadd-e-nazar
ab ke sailāb jo aayā to mujhe yaad aayā
TuuTe ghar meñ vo thakā haarā kabūtar sar-e-shām
ghoñsla DhūñDne aayā to mujhe yaad aayā
zindagī sirf kaḌī dhuup safar lambā hai
kahīñ saaya nazar aayā to mujhe yaad aayā
is añdhere meñ kahīñ hogā ujālā kuchh to
maiñ ne dil apnā jalāyā to mujhe yaad aayā
merā ehsās abhī murda nahīñ hai shāyad
us ne jab mujh ko rulāyā to mujhe yaad aayā
sirf matlab ke ġharaz ke haiñ yahāñ sab rishte
us ne ehsān jatāyā to mujhe yaad aayā
ek vīrānī hai sannāTā hai aur kuchh bhī nahīñ
shahr meñ apne jab aayā to mujhe yaad aayā
be-yaqīnī mire ehsās kā sarmāya hai
vo mire sāmne aayā to mujhe yaad aayā
zindagī ahd-e-guzishta kī purānī taqsīr
daur-e-hāzir ne satāyā to mujhe yaad aayā
be-sabātī hī haqīqat hai jahāñ meñ yaaro
dil kā bhī zaḳhm bhar aayā to mujhe yaad aayā
dil se kuchh us kā ta.alluq nahīñ rasman mujh ko
duur tak chhoḌne aayā to mujhe yaad aayā
kaT ga.ī umr bhaTakte hī bhaTakte 'hairat'
rāsta jab nazar aayā to mujhe yaad aayā
Top Urdushayar.com