Hairat Farrukhabadi

log muddat mein bana pate hain ghar

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
log muddat meñ banā paate haiñ ghar
zalzale aate haiñ gir jaate haiñ ghar
vo makānoñ ke makīñ haiñ Thiik hai
ḳhush nasīboñ ko hī mil paate haiñ ghar
maz.haboñ kī aaḌ le kar nafrateñ
phail jaatī haiñ to baT jaate haiñ ghar
jo haqīqat meñ ho ghar vo ghar kahāñ
ham ko jaanā hī hai so jaate haiñ ghar
har jagah ruknā munāsib hai kahāñ
yuuñ to raste meñ bahut aate haiñ ghar
ye makāñ thā is ko ghar samjhā kiye
kaise kaise ham ko bahkāte haiñ ghar
umr saarī rāstoñ meñ kaT ga.ī
vaqt ab aayā hai ab jaate haiñ ghar
ik zarā sā pyaar honā chāhiye
dil mileñ to ḳhud lipaT jaate haiñ ghar
umr 'hairat' dopahar kī dhuup thī
shaam ab aa.ī hai ab jaate haiñ ghar
Top Urdushayar.com