Hairat Farrukhabadi

ye kahani ye fasana bas isi shab bhar ka hai

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
ye kahānī ye fasāna bas isī shab bhar kā hai
zindagī shīshe kī hai aur aadmī patthar kā hai
dosto is daur kī sab se baḌī ḳhūbī hai ye
aadmī patthar kā dil patthar ghar patthar kā hai
hai vo kitnā ḳhūbsūrat har adā bhī dil-nashīñ
us kī bāteñ mīThī mīThī par asar nashtar kā hai
ek muddat ho ga.ī aa.ī na manzil aaj tak
ye karishma bhī mire yaaro mire rahbar kā hai
kab talak rakhoge ummīd-e-karam us but se tum
hai to vo miTTī kā lekin us kā dil patthar kā hai
nā-ummīdī be-yaqīnī bebasī be-chārgī
ek terā hī nahīñ ye qissa ab ghar ghar kā hai
ab guzāra ġhair-mumkin shahr meñ hairat jahāñ
zehn-o-dil patthar ke tan patthar kā ghar patthar kā hai
Top Urdushayar.com