din ko kah deñ raat ham samjhe nahīñ
aap kī ye baat ham samjhe nahīñ
ham ki ik rehn-e-qafas bismil-nafas
āsmāñ haiñ saat ham samjhe nahīñ
kyā samajh meñ aa.e zāt-e-mā-sivā
mā-sivā-e-zāt ham samjhe nahīñ
ishq se baaz aate ham dīvāne kyā
thī samajh kī baat ham samjhe nahīñ
al-ġharaz hai ziist marhūn-e-ajal
ġhāyat-e-ġhāyāt ham samjhe nahīñ
baat sab kī baat se hai muḳhtalif
terī 'āmir' baat ham samjhe nahīñ