Amir Mausavi

etibar-e-shauq ek dhoka sahi

Amir Mausavi

Hyderabad, Telangana, India

1935
e'tibār-e-shauq ik dhokā sahī
e'tibār-e-shauq par hai zindagī
suunī yaado tum se pahlū hai basā
suunī yaado tum se kyā pahlū-tahī
dil huā chhalnī to naġhme chhan paḌe
baañs meñ rauzan paḌe to bāñsurī
be-kasī meñ bhī baḌā kas-bal hai dost
maut kyā hai ziist ko Thukrā ke jī
ham ḳhudā bhī maan leñge aap ko
aap pahle ho to jaa.eñ aadmī
kyā yad-e-baizā se kam hai dāġh-e-dil
mo.ajaza rakhtā huuñ 'āmir'-mūsvī
Top Urdushayar.com