koī achchhā lage kitnā hī bharosa na karo
har kisī ko kabhī apnī tarah samjhā na karo
jis meñ tūfān bhañvar mauj na gahrā.ī ho
aise paanī meñ kabhī bhuul ke utrā na karo
chand sapne hī to TuuTe haiñ abhī saañs nahīñ
is tarah apnī tamannāoñ ko mailā na karo
band kamre se nikal aao ki duniyā hai baḌī
haath par haath dhare baiTh ke sochā na karo
ham ne maanā ki bahut TuuT chuke ho phir bhī
chal paḌe ho to kahīñ raah meñ Thahrā na karo
sar uThātī huī maujoñ se havāoñ ne kahā
vaqt ke saath chalo vaqt se uljhā na karo
na jalā paañv na.e diip koī baat nahīñ
kam se kam un ko jo jalte haiñ bujhāyā na karo
chāhe kitne hī ghane kyuuñ na hoñ saa.e us ke
niim ke peḌ se aamoñ kī tamannā na karo
un zamīnoñ ko mahakne do abhī peḌoñ se
vaqt se pahle unheñ kaaT ke sahrā na karo
apnī pahchān agar tum ko hai karnī qaa.em
sab kī āvāz meñ āvāz milāyā na karo
Dañk chāhe koī maare koī chāhe Das le
zahr se zahr ko 'āsif' kabhī maarā na karo