barg Thahre na jab samar Thahre
aise mausam pe kyā nazar Thahre
ahd-e-kam-māya kī nigāhoñ meñ
kāġhzī phuul mo'atabar Thahre
jin ko da.avā thā be-karānī kā
vo samundar bhī būñd-bar Thahre
vo gayā bhī to us kī yādoñ ke
kitne mehmān mere ghar Thahre
koī apne liye bhī Thahregā
ham kisī ke liye agar Thahre
ham khare the damak uThe varna
kis meñ himmat ki aag par Thahre
maut hai justujū musāfir kī
ek lamha jo be-ḳhabar Thahre
pūchh un se hai saḳht-jānī kyā
āñdhiyoñ meñ bhī jo shajar Thahre
ḳhush ho duniyā ki ham tirī ḳhātir
bazm-e-yārāñ meñ be-hunar Thahre
jin se 'āsif' hameñ tavaqqo.a thī
rābte vo bhī muḳhtasar Thahre