Iqbal Asif

zawal-e-fikr-o-fan tha aur main tha

Iqbal Asif

Bijapur, Karnataka, India

1949
zavāl-e-fikr-o-fan thā aur maiñ thā
ajab qaht-e-suḳhan thā aur maiñ thā
purāne lafz tafsīreñ na.ī thiiñ
ġhazal kā bāñkpan thā aur maiñ thā
ajab rūdād thī mere safar kī
libās-e-be-shikan thā aur maiñ thā
sazā thī imtihāñ thā kyā pata ik
sulagtā agnī ban thā aur maiñ thā
vahī us kī shikāyat thī purānī
vahī merā chalan thā aur maiñ thā
vahī miTTī vahī paanī havā thī
vahī merā vatan thā aur maiñ thā
vo ik lamha ki mere sar pe 'āsif'
bahut dushvār-kun thā aur maiñ thā
Top Urdushayar.com