qaid-e-kaun-o-makān se niklā
har nafas imtihān se niklā
maiñ bujhā bhī to mere ba.ad yahāñ
ik dhuāñ kaisī shaan se niklā
manzil gum-shuda surāġh tirā
paañv ke ik nishān se niklā
shukr hai us kī yaad kā paikar
mere vahm-o-gumān se niklā
ek Thokar pe nuur kā dariyā
shab kī andhī chaTān se niklā
baukhlā.ī havā ki tā.ir-e-nau
kitnī ūñchī uḌaan se niklā
aag paanī havā aur miTTī ke
'āsif' har imtihān se niklā