Iqbal Asif

jo ho sake to kabhi itni mehrbani kar

Iqbal Asif

Bijapur, Karnataka, India

1949
jo ho sake to kabhī itnī mehrbānī kar
uḌā ke ḳhaak mirī mujh ko āsmānī kar
phir us ke ba.ad ḳhudā jaane kab mayassar hoñ
ye chand lamhe mohabbat ke jāvedānī kar
ba-zor-e-teġh hukūmat kiyā nahīñ karte
jo ho sake to diloñ par bhī hukmarānī kar
ai raushnī ke payambar ki ai naqīb-e-nūr
lahū se apne charāġhoñ kī pāsbānī kar
maiñ aa.ina huuñ na utre kahīñ tirā chehra
na apne aap pe itrā na lan-tarānī kar
maiñ chal paḌā huuñ qadam se qadam milā mere
rafāqatoñ ke safar meñ na ānā-kānī kar
hamāre lams se paḌtī hai jaan murdoñ meñ
hamāre haath pe bai.at ai zindagānī kar
na maslahat kī tarāzū meñ taul lafzoñ ko
jo dil kahe vahī hoñToñ se tarjumānī kar
na yaad kar unheñ aasif vo pal jo biit ga.e
yahīñ pe dard-bharī ḳhatm vo kahānī kar
Top Urdushayar.com