din meñ sūraj hai mirī mahrūmiyoñ kā tarjumāñ
zulmat-e-shab meñ sitāre hijr o ġham ke rāz-dāñ
chāñd sūraj haiñ parā.e ajnabī hai kahkashāñ
ham faqīroñ ke liye farsh-e-zamīñ hai āsmāñ
jalva-e-māshūq bhī hai ik karishma al-amāñ
saat pardoñ meñ nihāñ ho kar bhī har jānib ayaañ
manzil-e-giryā kahāñ hai chashm-e-tar ko kyā ḳhabar
tā-abad bhaTegā mere āñsuoñ kā kārvāñ
dil ko jaanā thā gayā ik fāltū sī chiiz thā
sīna-e-āshiq meñ yaaro dil kī gunjā.ish kahāñ
bas yahī ik kaam baaqī thā jo karnā hai mujhe
maiñ mohabbat bo rahā huuñ nafratoñ ke darmiyāñ
ye fasāna ishq kā ya.anī ḳhazāna pyaar kā
saath hai tishna azal se dāstāñ-dar-dāstāñ