chaman meñ barq kabhī āshiyāñ se duur nahīñ
zamīñ pe ham haiñ magar āsmāñ se duur nahīñ
jagā sako to jagāo ki nāḳhudā dekhe
tavāf-e-mauj-e-balā bādbāñ se duur nahīñ
ye ālam-e-basharīyat bikharne vaalā hai
koī makān bhī ab lā-makāñ se duur nahīñ
qarīb aa na sakā maiñ tire magar ḳhush huuñ
ki merā zikr tirī dāstāñ se duur nahīñ
zarā sī aur mahārat ho tīr-zan ko atā
nishāna ab mire dil ke nishāñ se duur nahīñ
ye hai davām kī manzil ki hai fanā kā khanDar
ye raaz aaj mire raḳhsh-e-jāñ se duur nahīñ
maiñ apne dil kā fasāna likhūñ to kyuuñ na likhūñ
ki qissa-goī meñ maiñ 'mopasāñ' se duur nahīñ
na kar ai tishna mudārāt meñ takalluf kuchh
ki ghar kā haal tire mehmāñ se duur nahīñ