is tarah mil ki mulāqāt adhūrī na rahe
zindagī dekh koī baat adhūrī na rahe
bādaloñ kī tarah aa.e ho to khul kar barso
dekho is baar kī barsāt adhūrī na rahe
merā har ashk chalā aayā barātī ban kar
jis se ye dard kī bārāt adhūrī na rahe
paas aa jaanā agar chāñd kabhī chhup jaa.e
mere jīvan kī koī raat adhūrī na rahe
merī koshish hai ki maiñ us se kuchh aise bolūñ
lafz nikle na koī baat adhūrī na rahe
tujh pe dil hai to 'kuñvar' de de kisī ke dil ko
jis se dil kī bhī ye sauġhāt adhūrī na rahe