Kunwar Bechain

gagan mein jab apna sitara na dekha

Kunwar Bechain

Umri Kalan, Uttar pradesh, India

1942
gagan meñ jab apnā sitāra na dekhā
to jiine kā koī sahārā na dekhā
nazar hai, magar vo nazar kyā ki jis ne
ḳhud apnī nazar kā nazāra na dekhā
bhale vo Dubā.e ubhāre ki ham ne
bhañvar dekh lī to kināra na dekhā
vo bas naam kā aa.ina hai ki jis ne
kabhī husn ko ḳhud sañvārā na dekhā
tumheñ jab se dekhā, tumheñ dekhte haiñ
kabhī muḌ ke ḳhud ko dobāra na dekhā
sabhī nafratoñ kī davā hai mohabbat
ki is se alag koī chārā na dekhā
maiñ bādal meñ royā, hañsā bijliyoñ meñ
kisī ne ye merā ishāra na dekhā
'kuñvar' ham usī ke hue jā rahe haiñ
jise ham ne ab tak pukārā na dekhā
Top Urdushayar.com