āñkhoñ se jab ye ḳhvāb sunahre utar ga.e
ham dil meñ apne aur bhī gahre utar ga.e
sāñpoñ ne man kī biin ko kaaTā hai is tarah
the us ke paas jitne bhī lahre utar ga.e
laa.e haiñ vo hī aag ke motī baTor kar
jo āñsuoñ kī barf meñ gahre utar ga.e
logoñ ke dard-o-ġham bhī siyāsat ke zehn meñ
jhanḌoñ se ek din ko hī phahre utar ga.e
pahre pe sab hī chor haiñ ye tab patā chalā
āñkhoñ se jab ye niiñd ke pahre utar ga.e
ham jab taToñ ke paas rahe Dūbte rahe
jab jab bhañvar ke beach meñ Thahre utar ga.e
na.aroñ kī sīḌhiyoñ ko lagā kar chaḌhe jo log
ho kar unhīñ kī choT se bahre utar ga.e
jis din se mere dil meñ 'kuñvar' bas ga.e haiñ aap
duniyā ke mujh pe jitne the pahre utar ga.e