jab mere ghar ke paas kahīñ bhī nagar na thā
to is tarah kā raah meñ luTne kā Dar na thā
jañgal meñ jañgaloñ kī tarah kā safar na thā
sūrat meñ aadmī kī koī jānvar na thā
aañsū sā gir ke aañkh se maiñ sochtā rahā
itnā to apne-āp se maiñ be-ḳhabar na thā
ik baar ḳhud ko ġhaur se dekhā to ye milā
maiñ sirf ek dhaḌ thā mire dhaḌ pe sar na thā
hoñToñ pe aa.ī aur 'kuñvar' kāñptī rahī
ik baat jis kā dil pe koī bhī asar na thā