koī nahīñ hai dekhne vaalā to kyā huā
terī taraf nahīñ hai ujālā to kyā huā
chāroñ taraf havāoñ meñ us kī mahak to hai
murjhā rahī hai saañs kī maalā to kyā huā
badle meñ tujh ko de to ga.e bhuuk aur pyaas
muñh se jo tere chhīnā nivāla to kyā huā
āñkhoñ se pī rahā huuñ tire pyaar kī sharāb
gar chhuT gayā hai haath se pyālā to kyā huā
dhartī ko merī zaat se kuchh to namī milī
phūTā hai mere paañv kā chhālā to kyā huā
saare jahāñ ne mujh pe lagā.ī haiñ tohmateñ
tum ne bhī merā naam uchhālā to kyā huā
sar par hai maañ ke pyaar kā āñchal paḌā huā
mujh par nahīñ hai koī dushāla to kyā huā
manchoñ pe chuTkule haiñ latīfe haiñ āj-kal
manchoñ pe ne haiñ pant nirālā to kyā huā
ai zindagī tū paas meñ baiThī huī to hai
shīshe meñ tujh ko gar nahīñ Dhālā to kyā huā
āñkhoñ ke ghar meñ aa.ī nahīñ raushnī 'kuñvar'
TuuTā hai phir se niiñd kā taalā to kyā huā