āñkhoñ meñ jo hamārī ye jāloñ ke daaġh haiñ
ye to hamāre apne ḳhayāloñ ke daaġh haiñ
merī hatheliyoñ pe jo mehñdī se rach ga.e
ye āñsuoñ meñ bhīge rumāloñ ke daaġh haiñ
bāhar nikal ke jism se jā.ūñ to kis tarah
sāñkal kahīñ kahīñ pe ye tāloñ ke daaġh haiñ
tum jin ko kah rahe ho mire qadmoñ ke nishāñ
vo sab to mere paañv ke chhāloñ ke daaġh haiñ
kājal meñ ghul ke aur ziyāda nikhar ga.e
ashkoñ ko ye na kahnā ḳhayāloñ ke daaġh haiñ
hal hote hote us kī natīje pe aa ga.e
jitne javāb haiñ vo savāloñ ke daaġh haiñ
aate hī mere paas jo akasr chhalak paḌe
hoñToñ pe mere aise hī pyāloñ ke daaġh haiñ
aise bhī log haiñ jo sitāroñ ko dekh kar
kahte mileñ haiñ ye to ujāloñ ke daaġh haiñ
jo mujh meñ dekhte haiñ mire bhī haiñ ai 'kuñvar'
kuchh un meñ mujh ko dekhne vāloñ ke daaġh haiñ