parde mirī nigāh ke bhī darmiyāñ na the
kyā kahiye un ke jalve kahāñ the kahāñ na the
jis rāste se le ga.ī thī mujh ko be-ḳhudī
us raah meñ kisī ke qadam ke nishāñ na the
rāz-āshnā hai merī nazar yā phir aa.ina
varna vo apne husn ke ḳhud rāz-dāñ na the
kuchh be-sadā se lafz nazar kah ga.ī zarūr
maanā lab-e-ḳhamosh rahīn-e-bayāñ na the
aa.e to yuuñ ki jaise hamesha the mehrbāñ
bhūle to yuuñ ki jaise kabhī mehrbāñ na the
'ashraf' fareb-e-zīst hai kab imtihāñ se kam
is ke sivā to aur yahāñ imtihāñ na the