ahd-e-vafā na yaad dilā.eñ to kyā kareñ
ham un ko hāl-e-dil na sunā.īñ to kyā kareñ
jin se nahīñ hai aap kī manzil ko vāsta
un rāstoñ se lauT na jaa.eñ to kyā kareñ
vo har taraf haiñ samt kī jab qaid hī nahīñ
dair-o-haram meñ sar na jhukā.eñ to kyā kareñ
mohkam hai rabt-e-ishq to nazdīk-o-dūr kyā
aa.eñ to kyā kareñ vo na aa.eñ to kyā kareñ
maanā ki ham ko tāb-e-nazar hai na shauq-e-dīd
ruḳh se vo ḳhud hī parda uThā.eñ to kyā kareñ
'ashraf' ko thā amal se ziyāda karam pe naaz
kaam aa ga.ī haiñ us kī ḳhatā.eñ to kyā kareñ