Ashraf Rafi

har ek ruKH se mujhe lutf-e-justuju aae

Ashraf Rafi

har ek ruḳh se mujhe lutf-e-justujū aa.e
zarā vo aur qarīb-e-rag-e-gulū aa.e
ma.āl-e-nāz-e-ḳhudī kyā hai ye to samjhā duuñ
jise ho nāz-e-ḳhudī mere rū-ba-rū aa.e
baġhair izn hī saaqī ne kar liyā qabza
hamāre vāste jab sāġhar-o-subū aa.e
qadam qadam pe hai ḳhuddārī-e-hayāt kā Dar
mirī zabān pe kyā harf-e-ārzū aa.e
tirī fazā-e-mohabbat ho ḳhush-gavār itnī
nafas nafas se ḳhulūs-o-vafā kī bū aa.e
hamāre dil meñ adāvat rahegī kyā 'ashraf'
nazar jhukā.e hue jab koī adū aa.e
Top Urdushayar.com