sadiyoñ ke añdhere meñ utārā kare koī
sūraj ko kisī roz hamārā kare koī
ik ḳhauf sā bas ghūmtā rahtā hai saroñ meñ
duniyā kā mire ghar se nazāra kare koī
rañgoñ kā tasavvur bhī uḌā aañkh se ab to
is shahr meñ ab kaise guzārā kare koī
yuuñ dard ne ummīd ke laḌ se mujhe bāñdhā
dariyāoñ ko jis tarah kinārā kare koī
īñdhan se huā jin ke safar chāñd kā mumkin
un ke bhī to chūlhe ko sañvārā kare koī
rātoñ kī hukūmat meñ mire ḳhvāb kā taarā
jiine ke liye jaise ishārā kare koī
ye aaj bhī apnā hai 'faqīh' is kā bhī socho
kis tak yūñhī yādoñ ko sahārā kare koī