vaqt ke har ik naqsh kā ma.anī itnā badlā badlā hogā
mere vahm-o-gumān meñ kab thā ishq kā manzar aisā hogā
aaj mujhe apnī āñkhoñ se us ke qurb kī ḳhushbū aa.ī
merī nazar se us ne shāyad apne-āp ko dekhā hogā
lams ke is kore tālāb meñ chāñd kā pahlā aks tumhī ho
kaise nūr-jahānī sur meñ kis kis se vo kahtā hogā
sub.h sunahrī kyuuñ hai itnī shaam meñ itnī laalī kyuuñ hai
vaqt ne shāyad terī aañkh kī shabnam se muñh dhoyā hogā
aaj maiñ ā.īne meñ apnī sūrat tak pahchān na paayā
soch rahā huuñ mujh se ziyāda kaun is shahr meñ tanhā hogā
chhoḌ 'faqīh' ye honī kā sur anhonī kī taan lagāo
honī meñ hai koī hunar kyā honī ko to honā hogā