Ahmad Faqih

main kya hun mujhe tumne jo aazar pe khincha

Ahmad Faqih

1945
maiñ kyā huuñ mujhe tum ne jo āzār pe khīñchā
duniyā ne masīhāoñ ko bhī daar pe khīñchā
zindoñ kā to maskan bhī yahāñ qabr-numā hai
murdoñ ko magar darja-e-autār pe khīñchā
vo jaatā rahā aur maiñ kuchh bol na paayā
chiḌiyoñ ne magar shor sā dīvār pe khīñchā
kuchh bhī na bachā shahr meñ juz rone kī rut ke
har sho.ala-e-āvāz ko malhār pe khīñchā
yūsuf kabhī nīlām huā kartā thā lekin
yūsuf ko bhī is shahr ne hai daar pe khīñchā
phūTe haiñ mere dil meñ phir inkār ke sote
phir dil ne mujhe hālat-e-dushvār pe khīñchā
har shai kī haqīqat meñ utar jaa.eñ ab āñkheñ
zulmat ne mujhe dīda-e-bedār pe khīñchā
dukh ālam-e-insān ke the jo vo chhupā.e
ḳhat chāñd ko sar karne kā aḳhbār pe khīñchā
tum ne to 'faqīh' apnī anā kas ke mujhe bhī
paikāñ kī tarah hālat-e-paikār pe khīñchā
Top Urdushayar.com