Shamsur Rahman Faruqi

mausam-e-sang-o-rang se rabt-e-sharar kis ko tha

Shamsur Rahman Faruqi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1936
mausam-e-sañg-o-rañg se rabt-e-sharār kis ko thā
lahza-ba-lahza jal ga.ī dard-e-bahār kis ko thā
sarhad-e-āsmāñ ke paas jaal bichhe the har taraf
kis ne kiyā hameñ asiir shauq-e-shikār kis ko thā
shams o nujūm be-karāñ haft-falak nabard-gāh
raushniyoñ kī dauḌ meñ pā-e-farār kis ko thā
chashm-e-shafaq thī ḳhūñ-nashīñ chehra-e-shab thā teġh-e-tez
ḳhvāb paḌe the taar taar sabr-o-qarār kis ko thā
aaj se pahle ham sabhī samjhe the us ko barg-e-gul
tajraba-e-jalālat-e-rū-e-nigār kis ko thā
sāya-e-har-shajar meñ thā reñgte lamhoñ kā hujūm
ḳhaam ḳhayāl-e-gardish-e-lail-o-nahār kis ko thā
sāya-e-ablaq-e-shajar ghaat meñ chashm-e-nīm-vā
paañv jahāñ the jam ga.e hosh-e-farār kis ko thā
Top Urdushayar.com