mahfil kā nuur marja-e-aġhyār kaun hai
ham meñ halāk-e-tāle-e-bedār kaun hai
ham apne saa.e se to bhaḌak kar alif hue
dekhā nahīñ magar pas-e-dīvār kaun hai
har lamhe kī kamar pe hai ik mahmil-e-sukūt
logo batāo qātil-e-guftār kaun hai
ghar ghar khile haiñ naaz se sūraj-mukhī ke phuul
sūraj ko phir bhī māne-e-dīdār kaun hai
patthar uThā ke dard kā hiirā jo toḌ de
vo kaj-kulāh bāñkā tarah-dār kaun hai