idhar se dekheñ to apnā makān lagtā hai
ik aur zāviye se āsamān lagtā hai
jo tum ho paas to kahtā hai mujh ko chiir ke pheñk
vo dil jo vaqt-e-duā be-zabān lagtā hai
shurū-e-ishq meñ sab zulf o ḳhat se Darte haiñ
aḳhīr umr meñ in hī meñ dhyān lagtā hai
sarakne lagtī hai tab hī qadam tale se zamīn
jab apne haath meñ saarā jahān lagtā hai
do chaar ghāTiyāñ ik dasht kuchh nadī naale
bas is ke ba.ad hamārā makān lagtā hai