dekhiye be-badanī kaun kahegā qātil hai
sāya-āsā jo phire us ko pakaḌnā mushkil hai
rag-e-har-lafz se riste hue ḳhuuñ se ghabrā kar
maiñ jo ḳhāmosh rahā sab ne kahā ''tū jāhil hai''
tajraba dil meñ rahe to khule aañsū ban ban kar
aur kāġhaz pe chhalak jaa.e to sham-e-mahfil hai
jo bharī duniyā kī sañgīn ajā.ib-nagrī meñ
apnā sar aap na phoḌe vo jahannam vāsil hai
lab-e-dariyā ko milāne kā tarīqa kaisā hogā
donoñ jhukte haiñ magar biich meñ dariyā haa.il hai