chehre kā āftāb dikhā.ī na de to phir
niilī chhalaktī dhuup se ā.ankhoñ ko bhar leñ ham
aao mizāj-e-pursi-e-dīvār-o-dar kareñ
muddat se ham the qaid ab in kī ḳhabar leñ ham
chubhtī nahīñ haiñ dard kī be-ḳhvāb sūiyāñ
añgāre ab jagāo to shāyad asar leñ ham
saare uluum ham kareñ finnār-e-vassaqar
ma.asūmiyat kī raah meñ tīr-o-tabar leñ ham
jī chāhtā hai sīna-e-aflāk chiir kar
tūfān-e-abr-o-bād ko muTThī meñ bhar leñ ham