aab o giyā se be-niyāz sard jabīn-e-koh par
garmī-e-rū-e-yār kā aks bhī rā.egāñ gayā
sat.h pe taaza phuul haiñ kaun samajh sakā ye raaz
aag kidhar kidhar lagī sho.ala kahāñ kahāñ gayā
rāz-e-ḳhirad ho kuchh bhī ab rāz-e-junūñ to ye hai bas
aañkh thī be-basar rahī tiir thā be-kamāñ gayā
umr-e-ravāñ kī manzileñ tūl-e-tavīl muḳhtasar
aap bhī ham-safar rahe ġhair bhī ham-ināñ gayā