Shamsur Rahman Faruqi

shor-e-tufan-e-hawa hai be-aman sunte raho

Shamsur Rahman Faruqi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1936
shor-e-tūfān-e-havā hai be-amāñ sunte raho
band kūchoñ meñ ravāñ hai ḳhūn-e-jāñ sunte raho
kaan sun hone lage haiñ apne gosh-e-hosh se
surḳh pariyoñ kī sadā dāman-kashāñ sunte raho
garmi-e-āvāz ko shola banā kar phuul sā
duur tak hadd-e-nazar tak rā.egāñ sunte raho
shorish-e-bahr-e-karam meñ māhi-e-mish.al kahāñ
jism-e-shab meñ din kī dhaḌkan be-gumāñ sunte raho
gāḌhī tārīkī meñ bhārī barg-e-ḳhvāhish kī mahak
misl kauñde ke makāñ andar makāñ sunte raho
Top Urdushayar.com