jo utrā phir na ubhrā kah rahā hai
ye paanī muddatoñ se bah rahā hai
mire andar havas ke pattharoñ ko
koī dīvāna kab se sah rahā hai
takalluf ke ka.ī parde the phir bhī
mirā terā suḳhan be-tah rahā hai
kisī ke e'timād-e-jān-o-dil kā
mahl darja-ba-darja Dhah rahā hai
gharauñde par badan ke phūlnā kyā
kirā.e par tū is meñ rah rahā hai
kabhī chup to kabhī mahv-e-fuġhāñ dil
ġharaz ik gomago meñ ye rahā hai