gumāñ ke tan pe yaqīñ kā libās rahne do
ki mere haath meñ ḳhālī gilās rahne do
zamāna guzrā hai ḳhushiyoñ kā saath chhoḌe hue
mire mizāj ko ab ġham-shanās rahne do
amal kī rut meñ panaptī haiñ Tahniyāñ haq kī
milāo sach se nigāheñ qayās rahne do
vo ḳhvāb ko bhī haqīqat samajh ke jiite haiñ
isī meñ ḳhush haiñ to ye iltibās rahne do
milā ke haath shayātīñ se dekhte ho mujhe
anāniyat ko tum apne hī paas rahne do
mujhe na khīñcho ḳhushī ke hisār meñ ai 'atīb'
udaas rahnā hai mujh ko udaas rahne do