Shamsur Rahman Faruqi

masal kar phenk dun aankhen to kuchh tanwir ho paida

Shamsur Rahman Faruqi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1936
masal kar pheñk duuñ āñkheñ to kuchh tanvīr ho paidā
jo dil kā ḳhuun kar Dālūñ to phir tāsīr ho paidā
agar dariyā kā muñh dekhūñ to qaid-e-naqsh-e-hairat huuñ
jo sahrā gher le to halqa-e-zanjīr ho paidā
sarāsar silsila patthar kā chashm-e-nam ke ghar meñ hai
koī ab ḳhvāb dekhe bhī to kyuuñ ta.abīr ho paidā
maiñ in ḳhālī manāzir kī lakīroñ meñ na uljhūñ to
ḳhutūt jism se miltī koī tasvīr ho paidā
lahū meñ ghul ga.e jo gul dobāra khil bhī sakte haiñ
jo maiñ chāhūñ to siine par nishān-e-tīr ho paidā
Top Urdushayar.com