Shamsur Rahman Faruqi

mauj-e-dariya ko piyen kya gham-e-KHamyaza karen

Shamsur Rahman Faruqi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1936
mauj-e-dariyā ko piyeñ kyā ġham-e-ḳhamyāza kareñ
rag-e-afshurda-e-sahrā meñ lahū taaza kareñ
dil ke mahbas meñ kareñ zaat kā mātam kab tak
aao bāhar to chaleñ vaqt kā andāza kareñ
ḳhuuñ hai ik daulat-e-dil luuT hī leñ ahl-e-falak
chehra-e-dāġh-e-qamar par to nayā ġhāza kareñ
uñgliyāñ sard haiñ phūñkeñ to unheñ hosh meñ laa.eñ
apne sīnoñ pe likheñ harf-e-vafā taaza kareñ
shīsha thā ik ġham-e-dil TuuT ke sāhil pe girā
muntashir ret ke har zarre kā shīrāza kareñ
gurg-e-ehsās se bachne kī to koī nahīñ raah
sag-e-taḳh.īl pe band aañkh kā darvāza kareñ
Top Urdushayar.com