Irfan Waheed

sar-e-aina hairani bahut hai

Irfan Waheed

Malerkotla, Punjab, India

1981
sar-e-ā.īna hairānī bahut hai
sitamgar ko pashemānī bahut hai
ḳhirad kī garche arzānī bahut hai
junūñ kī jalva-sāmānī bahut hai
sabhī vahshī yahīñ par aa rahe haiñ
mire ghar meñ bayābānī bahut hai
yahāñ har-chand sab ḳhush-pairahan haiñ
magar dekho to uryānī bahut hai
na jaane kab mirī muTThī meñ aa.e
vo ik lamha ki arzānī bahut hai
ajab uljhan ki chup rahnā bhī mushkil
jo kah duuñ to pashemānī bahut hai
maiñ samt-e-dasht jaanā chāhtā thā
magar us meñ tan-āsānī bahut hai
bhulā kar baiThtā huuñ har kisī kā
abhī mujh meñ ye nādānī bahut hai
ḳhudāyā joḌ kyā hai ishq-o-dil kā
tirī baḳhshish pe hairānī bahut hai
zamīñ ko raas kab aa.egā 'irfāñ'
vo harf-e-haq ki nuqsānī bahut hai
Top Urdushayar.com