Irfan Waheed

hazar ranj-e-safar hai hazar ke hote hue

Irfan Waheed

Malerkotla, Punjab, India

1981
hazār ranj-e-safar hai hazar ke hote hue
ye kaisī ḳhāna-badoshī hai ghar ke hote hue
vo habs-e-jāñ hai barasne se bhī jo kam na huā
ghuTan ġhazab kī hai ik chashm-e-tar ke hote hue
mire vajūd ko paikar kī hai talāsh abhī
maiñ ḳhaak huuñ hunar-e-kuzah-gar ke hote hue
sahar ujālne vaale kiran kiran ke liye
taras rahe haiñ faroġh-e-sahar ke hote hue
har inkishāf hai ik inkishāf-e-lā-ilmī
kamāl-e-be-ḳhabarī hai ḳhabar ke hote hue
gurezāñ mujh se rahā hai ye sāya-e-dīvār
maiñ dhuup dhuup jalā huuñ shajar ke hote hue
ham us se mil ke kareñ arz-e-hāl kuchh 'irfān'
muhāl hai ye dil-e-hīla-gar ke hote hue
Top Urdushayar.com