vo mehrbāñ ho to sahrā bhī gulistāñ ho jaa.eñ
agar ḳhafā ho to barham sitār-gāñ ho jaa.eñ
havā.eñ shauq samundar kī mehrbāñ ho jaa.eñ
talab safīna ho armān bādbāñ ho jaa.eñ
ba-yās-e-dostī itne bhī ab na do ilzām
ki ham ḳhud apnī taraf se bhī bad-gumāñ ho jaa.eñ
qalandaroñ ke liye shahr kyā hai sahrā kyā
ġharaz to Thor Thikānoñ se hai jahāñ ho jaa.eñ
tumhārī yaad kare aise dil meñ ghar apnā
ham apne ghar meñ ba-tadrīj mehmāñ ho jaa.eñ
tirī razā rahī shāmil to is masāfat meñ
sulagte dasht kī dhūpeñ bhī sā.ebāñ ho jaa.eñ
jo ho yaqīn to bas ik charāġh kaafī hai
na ho to laakh mah-o-mehr rā.egāñ ho jaa.eñ
chalo shigāf banā.eñ fasīl-e-vaqt meñ ham
ajab nahīñ ki baham saare raftagāñ ho jaa.eñ
jo said-e-dām-e-junūñ the vo pā ga.e manzil
asīr-e-dānish-o-bīnish na be-nishāñ ho jaa.eñ
fuzūl Thahre tag-o-tāz-e-umr bhī saarī
hatheliyoñ kī lakīreñ bhī rā.egāñ ho jaa.eñ
vafā kī jins haiñ 'irfān' ham bhī arzāñ haiñ
ḳharīd lo kahīñ aisā na ho garāñ ho jaa.eñ