tumheñ zebā nahīñ hargiz sile kī aarzū rakhnā
tumhārā kaam hai 'ātish' qalam kī aabrū rakhnā
agar dil meñ tamannā-e-nashāt-e-rañg-o-bū rakhnā
ma.āl-e-ḳhanda-gul ko bhī apne rū-ba-rū rakhnā
ye mai-ḳhāna hai mai-ḳhāna taqaddus us kā lāzim hai
yahāñ jo bhī qadam rakhnā hamesha bā-vazū rakhnā
kahīñ tauq-o-salāsil haiñ kahīñ zahr-e-halāhal hai
mujhe har āzmā.ish meñ ilāhī surḳh-rū rakhnā
zamāne par kise ma.alūm kaisā baar guzrā hai
mirā haqq-o-sadāqat par madār-e-guftugū rakhnā
na mil paa.e surāġh-e-manzil-e-jānāñ na mil paa.e
hamārā kaam hai jaarī talāsh-o-justujū rakhnā