Aatish Bahawalpuri

KHamosh baiThe ho kyun saz-e-be-sada ki tarah

Aatish Bahawalpuri

ḳhamosh baiThe ho kyuuñ sāz-e-be-sadā kī tarah
koī payām to do ramz-āshnā kī tarah
kahīñ tumhārī ravish ḳhār-o-gul pe baar na ho
riyāz-e-dahr se guzre chalo sabā kī tarah
niyāz-o-ijz hī me.arāj-e-ādamiyyat haiñ
baḌhāo dast-e-saḳhāvat bhī iltijā kī tarah
jo chāhte ho badalnā mizāj-e-tūfāñ ko
to nāḳhudā pe bharosā karo ḳhudā kī tarah
mujhe hamesha rah-e-zīst ke dorāhoñ par
ik ajnabī hai jo miltā hai āshnā kī tarah
tamām umr rahā sābiqa yazīdoñ se
mire liye to ye duniyā hai karbalā kī tarah
umiid un se vafā kī to ḳhair kyā kiije
jafā bhī karte nahīñ vo kabhī jafā kī tarah
ye dahr bhī to hai mai-ḳhāna-e-alast-numā
raho yahāñ bhī kisī riñd-e-pārsā kī tarah
zabāñ pe shikva-e-be-mehrī-e-ḳhudā kyuuñ hai?
duā to māñgiye 'ātish' kabhī duā kī tarah
Top Urdushayar.com