laakh pardoñ meñ go nihāñ ham the
phir bhī har chiiz se ayaañ ham the
ek aalam ke tarjumāñ ham the
un ke aage hī be-zabāñ ham the
ham hī ham the vahāñ jahāñ ham the
aap aa.e to phir kahāñ ham the
har rag-o-pai meñ barq raqsāñ thī
haa.e vo vaqt jab javāñ ham the
aaj to ḳhair se haiñ arsh-maqām
kal zamīñ par bhī āsmāñ ham the
ġham ke māroñ ko naaz thā ham par
jazba-e-ġham ke tarjumāñ ham the
har qadam pe thī sāmne manzil
sū-e-manzil ravāñ-davāñ ham the
zindagī bhar jo lab pe aa na sakī
dard-o-ġham kī vo dāstāñ ham the
dostoñ kā to zikr kyā 'ātish'
dushmanoñ par bhī mehrbāñ ham the