Irfan Waheed

pas-e-sukut suKHan ko KHabar banaya jae

Irfan Waheed

Malerkotla, Punjab, India

1981
pas-e-sukūt suḳhan ko ḳhabar banāyā jaa.e
fasīl-e-harf meñ ma.anī kā dar banāyā jaa.e
hisāb-e-sūd-o-ziyāñ ho chukā bahut ab ke
vufūr-e-shauq ko arz-e-hunar banāyā jaa.e
lagan uḌaan kī dil meñ hanūz baaqī hai
kaTe paroñ hī ko ab shāh-par banāyā jaa.e
kisī paḌāv pe pahuñcheñge jab to socheñge
abhī se kyā koī zād-e-safar banāyā jaa.e
farāz-e-dār pe kar ke buland āḳhir-e-shab
mire hī sar ko nishān-e-sahar banāyā jaa.e
bahut tavīl huā silsila raqābat kā
kabhī milo to use muḳhtasar banāyā jaa.e
qadam qadam pe hai bastī meñ vahshiyoñ kā hujūm
chalo kahīñ kisī sahrā meñ ghar banāyā jaa.e
zamīr-e-nau-e-bashar kab se ho chukā ruḳhsat
na.e ḳhamīr se taaza bashar banāyā jaa.e
mafar muhāl hai qaid-e-makāñ se jab 'irfāñ'
to kyuuñ na phir isī gumbad ko ghar banāyā jaa.e
Top Urdushayar.com