harf-e-shikva na lab pe laao tum
zaḳhm khā kar bhī muskurāo tum
apne haq ke liye laḌo be-shak
dūsroñ kā na haq dabāo tum
sab ise dil-lagī samajhte haiñ
ab kisī se na dil lagāo tum
maslahat kā yahī taqāzā hai
vo na māneñ to maan jaao tum
apnā saaya bhī ab nahīñ apnā
apne saa.e se ḳhauf khaao tum
maut mañDlā rahī hai shahroñ par
jā ke sahrā meñ ghar banāo tum
dostoñ ko to ḳhuub dekh chuke
dushmanoñ ko bhī āzmāo tum
rāstī pe madār ho jis kā
ab na vo baat lab pe laao tum
jo bhalā māñgte the sar but kā
in buzurgoñ ko phir bulāo tum