Aatish Bahawalpuri

kamal-e-husn ka jis se tumhein KHazana mila

Aatish Bahawalpuri

kamāl-e-husn kā jis se tumheñ ḳhazāna milā
mujhe isī se ye andāz-e-āshiqāna milā
jabīn-e-shauq ko āsūdgī nasīb huī
sar-e-niyāz ko jab terā āstāna milā
tamām umr sahāroñ kī justujū meñ rahā
vo bad-nasīb jise terā aasrā na milā
kamī na thī mirī duniyā meñ āshnāoñ kī
sitam to ye hai koī dard-āshnā na milā
sanam-kadoñ meñ to asnām jalva-farmā the
ḳhudā ke ghar meñ bhī mujh ko kahīñ ḳhudā na milā
tumheñ to apnī jafāoñ kī ḳhuub daad milī
mirī vafāoñ kā mujh ko koī sila na milā
chaman meñ rah ke bhī 'ātish' ḳhizāñ-nasīboñ ko
kabhī bahār kā paiġhām-e-jāñ-fazā na milā
Top Urdushayar.com