sitam ko un kā karam kaheñ ham jafā ko mehr-o-vafā kaheñ ham
zamāna is baat par ba-zid hai ki nāravā ko ravā kaheñ ham
kuchh aisā saudā hai sab ke sar meñ mizāj bigḌe hue haiñ sab ke
koī bhī suntā nahīñ kisī kī kaheñ kisī se to kyā kaheñ ham
ye saarī bāteñ haiñ dar-haqīqat hamāre aḳhlāq ke munāfī
suneñ burā.ī na ham kisī kī na ḳhud kisī ko burā kaheñ ham
na jaane ham se hai kyā tavaqqo? nahīñ kisī tarah jān-baḳhshī
zamāna is pe bhī mo'tariz hai agar ḳhudā ko ḳhudā kaheñ ham
hamārī aa.heñ bhī be-asar haiñ hamāre naale bhī nā-rasā haiñ
vo dard jis kā na ho mudāvā use na kyuuñ lā-davā kaheñ ham
na din ko hai kuchh sukūñ mayassar na shab ko aatī hai niiñd ham ko
yahī mohabbat kī ibtidā hai to phir kise intihā kaheñ ham
yahī taqāzā hai maslahat kā isī meñ hai āfiyat bhī 'ātish'
kisī se dil ko jo rañj pahuñche use ḳhudā kī razā kaheñ ham