Irfan Waheed

ye dana-e-hawas tumhein haram kyun nahin raha

Irfan Waheed

Malerkotla, Punjab, India

1981
ye dāna-e-havas tumheñ harām kyuuñ nahīñ rahā
uḌaan kā vo shauq zer-e-dām kyuuñ nahīñ rahā
masāfatoñ kā phir vo ehtimām kyuuñ nahīñ rahā
safar darūn-e-zāt be-qayām kyuuñ nahīñ rahā
bikhar ga.ī hai shab to tīrgī kā raaj kyuuñ nahīñ
jo baam par thā vo mah-e-tamām kyuuñ nahīñ rahā
hamāre qatl par usūl-e-qatl-gah kā kuchh lihāz
salīb-o-dār kā bhī ehtimām kyuuñ nahīñ rahā
bhalā ye kaise maan leñ ki dil ko saaf kar liyā
jo sulh ho ga.ī to phir kalām kyuuñ nahīñ rahā
jo sho.abde the tere pīr-e-vaqt un kā kyā huā
atā-e-husn-o-ishq par davām kyuuñ nahīñ rahā
jo pairav-e-havā-e-nafs-o-banda-e-havas huā
use ye ġham vo vaqt kā imaam kyuuñ nahīñ rahā
diloñ ko jītne kī jo karāmateñ thiiñ kyā huiiñ
nazar nazar jo faiz thā vo aam kyuuñ nahīñ rahā
Top Urdushayar.com