har-chand ki insāf kā ḳhvāhāñ bhī vahī hai
qātil bhī vahī aur nigahbāñ bhī vahī hai
barbādī-e-gulshan kā jo sāmān banā thā
barbādī-e-gulshan pe pashemāñ bhī vahī hai
hai nisbat-e-naumīdī-e-tārīkī-e-shab jo
ik muzhda-e-ummīd-e-farozāñ bhī vahī hai
paanī meñ talātum bhī usī chāñd ke baa.is
aur apnī adā dekh ke hairāñ bhī vahī hai
tat.hīr-e-siyāsat kā bhī da.avā hai usī ko
tanqīd-e-hukūmat se gurezāñ bhī vahī hai
mushkil hai mafar vahshat-e-tanhā.ī se 'irfān'
jo qarya hai ābād bayābāñ bhī vahī hai