Raaz Allahabadi

hujum-e-gardish-e-dauran hai kya ghazal kahiye

Raaz Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1996
hujūm-e-gardish-e-daurāñ hai kyā ġhazal kahiye
dil-o-dimāġh pareshāñ hai kyā ġhazal kahiye
ye kis ne aag lagā dī guloñ ke dāman meñ
dhuāñ dhuāñ sā gulistāñ hai kyā ġhazal kahiye
jalā.e jaate haiñ ab ghar meñ āñsuoñ ke charāġh
ajiib jashn-e-charāġhāñ hai kyā ġhazal kahiye
ye sīTiyoñ kī sadā raat kā ye sannāTā
sukūt-e-shahr-e-ḳhamoshāñ hai kyā ġhazal kahiye
ghirā huā hai chaman narġha-e-siyāsat meñ
bahār sho.ala-ba-dāmāñ hai kyā ġhazal kahiye
jo 'rāz' mulk meñ amn-o-amāñ kī baat kare
ab us ke vāste zindāñ hai kyā ġhazal kahiye
Top Urdushayar.com