ye atā bhī hai saaqī vaah kyā nirālī hai
ek jaam chhalkā hai ek jaam ḳhālī hai
zaḳhm patta patta hai dard Daalī Daalī hai
ai mire chaman āḳhir kaun terā maalī hai
phir tire hasīñ va.ade yaad aa ga.e shāyad
maiñ ne ārzūoñ kī bhiiḌ phir lagā lī hai
kyā mirī vafāoñ kā ab lahū nahīñ miltā
tum ne apne hāthoñ meñ kyuuñ hinā lagā lī hai
ai mirī ġhazal tere naaz kaun uThā.egā
ab na koī 'ġhālib' hai ab na koī 'hālī' hai
harf harf hiirā hai lafz lafz motī hai
in hasīn logoñ kī baat hī nirālī hai
pāk-bāz rindoñ ko aur ham kahāñ DhūñDheñ
masjideñ bhī suunī haiñ mai-kada bhī ḳhālī hai
'rāz' ye ġhazal apnī ik hasīñ kā sadqa hai
sher bhī anokhe haiñ haiñ tarz bhī nirālī hai