lazzat-e-ġham baḌhā dījiye
aap phir muskurā dījiye
chāñd kab tak gahan meñ rahe
ab to zulfeñ haTā dījiye
merā dāman bahut saaf hai
koī tohmat lagā dījiye
qīmat-e-dil batā dījiye
ḳhaak le kar uḌā dījiye
aap añdhere meñ kab tak raheñ
phir koī ghar jalā dījiye
ik samundar ne āvāz dī
mujh ko paanī pilā dījiye